Instagram videos or photos kaise download Karen ? 2 aasan tarike

Instagram videos or photos kaise download Karen ? 2 aasan tarike



internet per aneko social media website aur application maujud hai unmen se kisi Na kisi per Apne apna profile jarur banaya hoga. Aise mein yadi aap Instagram ka istemal karte Hain to aap use per photos aur video post karte hi hoge.Itna hi nahin vahan per aapko Anya logon ke photos aur videos post bhi dikhai dete Hain.ab yadi aapko koi video athva photo pasand aati hai aur aap use download karna chahte hain to Instagram per downloading ka koi sidha vikalp maujud nahi hota, isliye aapko mushkil ka Samna karna padta hai. Is problem ka solution is article mein ham Instagram se video download karne ke bare mein janenge.

Niyamit roop se log "Instagram se video kaise download Karen? Athva Instagram photo kaise download Karen?"likh kar Google par search karte hain.agar aap yahi sawal poochhne wale logon mein se ek hai to Aaj ka lekh aapke in sawalon ko HAL kar dega.

  • इंस्टाग्राम से वीडियो कैसे डाउनलोड करें?
    • 1: इंस्टाग्राम वीडियो डाउनलोडर website
    • 2: एप्लीकेशन से इंस्टाग्राम वीडियो डाउनलोड करना
  • निष्कर्ष 

How to download Instagram video in Hindi./(Instagram video kaise download Karen)/(Instagram विडियो केसे डाउनलोड करें ?)


Kyunki Instagram upyogkarta ko video download karne ki permission nahin deta isliye Instagram se video download karne ke liye aapko third party web applications ka istemal karna padta hai is sandrbh mein "third party web applications" ka Arth hai,Instagram aur aapke bich ke alava Anya aisi software applications or website program jo aapko Instagram ka video download karne mein madad Karen.

Chaliye yahin per ham 3 alag alag website ke madhyam se aasan tarike se a Instagram ka video download karna sikhe.


1: इंस्टाग्राम वीडियो डाउनलोडर website (Instagram video downloader website)


Yah ek Instagram downloader website hai. Iska upyog karke Instagram photo, slider show (yadi ek post mein Kai sari photos maujud Ho), video download kiya ja sakta hai. Downloading karne ke liye aapko Matra Instagram ke a link ki avashyakta padati hai.

Apni device mein Instagram application ko kholen aur apne account mein login kar jaaye.

iske bad Instagram feed main aapko jis bhi upyogkarta ke dwara post ki gai photo at hua video pasand aata hai uske us post link ko copy Karen.



link ko copy karne ke liye aapko post per click karna hai aur right side mein three dots menu per click karke copy link per click karna hai, Aisa karne par link device ke clipboard mein copy ho jata hai.

yadi aap kisi web browser mein website ke madhyam se Instagram istemal kar rahe hai to fir Instagram post ko open karne ke bad URL Bar se link ko copy kar le.

iske bad kisi bhi browser athva Chrome browser ko open kijiye aur URL bar mein ig2mate.com likhkar is website ko open kar lijiye.



Website main aapko ek box dikhai dega is input box mein use link ko pest kar dijiye jise aapane copy kiya tha. Start button per click kar dijiye.

ek ya do second mein process purn hone per aapko niche Instagram ka video dikhai dene lagega download now button per click karke aap use download kar sakte hai.


2: एप्लीकेशन से इंस्टाग्राम वीडियो डाउनलोड करना(application say Instagram video download kare.)

upar Apne ek website ke madhyam se Instagram ka video download karna sikha parantu kafi log ko mobile mein ek application download karna pasand hota hai isiliye aise logon ke liye yahan per ek application bhi maujud hai.



                             Download App


Google Play Store per jaaiye aur  Inst Downloader for Instagram: Photo & Video Saver app Ko download kar lijiye. Iska istemal karne ki bhi prakriya ek Jaisi hi hai.

aapko man chahie Instagram video post athva photo post ka copy link karna hota hai aur application mein ja kar diye Gaye box mein link copy pest kar dena  hai.
Iske bad check URL per click kar dijiye
Aisa karne per aapko video screen per dikhai dene Lage ga.


Jise aap se video button per click karke Apne device mein save karte Hain.

आपको ये जानकारी केसी लगी वो कॉमेंट करके मज़े भी ज़रूर बताए.

Instagram videos or photos kaise download Karen ? 2 aasan tarike Instagram videos or photos kaise download Karen ? 2 aasan tarike Reviewed by gk_plus_knowledge on 21 July Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.